About Me

My photo
mujhe chand mila hai main taare nahi dekhta,hai shauk samandar ka main kinaare nahi dekhta.

Saturday, June 18, 2011

GAZAL

baar baar mere sapno mai aate kun ho
aate ho to fir itna sharmate kun ho
ab baant bi do jamane ko roshani
chand sa mukhda ghughat mai chupate kun ho
mere jine ki ada dekh puchte hain log
hai itna gum fir bi tum muskuraate kun ho
mohabbat mai jaan dekar mainne jindgi nai paai hai
dosto mere kafan se lipat ke aanshu bahaate kun ho
kaanto kya tumhe mohabbat hai phool se
har kisi se fir inka daman bachate kun ho
kaeo ye bhrosa ki har shai mai hai vo
varna ye to hai pathar iss ke aage sir jhkaate kun ho
karna hai agar tumko nafrato ka ye karobaar
dil ki zameen pe mohabbat ke phool ugaate kun ho ..........................................!!!!!!!!!!!!!

Friday, February 18, 2011

AAJ KI SUBAH

aaj ki subah kuch khaas hai
lagta hai jaise koi aaspaas hai
jindgi kis kadar aakeli thi
ab jake hua ye ehsaas hai
aaj ki subah kuch khaas hai
 pahli dafa pyaar ke aanchal ko chua
 jaise laga uddte hue badal ko chua
bach gaya main har buri nazar se
mere galo ko jb se tere kajal ne chua
tujh pe hua ye kaisa vishvaas hai
aaj ki subah kuch khaas hai
  abhi tak mujhse tum door kun thi
  darti thi ya kisi baat se majboor thi
  lag jaogi ek din aake gale
  dil ko iss ki ummeed to jaroor thi
  dear se hi sahi khatam ab meri talash hai
   aaj ki subah kuch khaas hai
maaf karna mohabbat hum tujh se anjaan bane
nahi samjhe kuch aur nadaan bane
jis pe bi kar di meharbaani tune
iss duniya main to bus wahi insaan bane
mohabbat tu ek reshami libaas hai
aaj ki subah kuch khaas hai..............


KHWAB AUR HAQEEQAT

sochta hun dikhun o duniya jo mere khwabo main hai
        meri duniya bahut haseen hai
        rango se bi zada ye rangeen hai
        khusiyo se bana aasmaan hai
        to phoolo se bani zameen hai
       meri duniya bahut haseen hai                                                                                        
yaha insaan ko insaan se mohabbat hai
pyaar lena pyaar dena hi ibadat hai
ise to duniya kahna hi galat hoga
ye to zamee pe basi hui jannat hai
yaha insaan ko insaan se mohabbat hai
        meri duniya main har taraf khushi hi khushi hai
        sab ke hondho pe khili hanshi hi hanshi hai
        nafarat yaha door door tak nahi hai
        chahat hi chahat dil main basi hai
        meri duniya main har taraf khushi hi khushi hai
subah tak ye sapna meri aankho main palta raha
iss ki goad mai leta main machalta raha
hui subah to har sapna tut gaya
hathon se jaise koi shisha chut gaya
jisne dekha sapna kya o meari nazar thi
akhbaar jo padha to kai logo ke marne ki khabar thi
iss se to achha tha ki meri aankh na khulti
dukh dard se bhari ye jindgi na milti
maut tere saye main bahut sukoon hai
jindgi tere daman main sirf khoon hi khoon hai.................!!!!!!!


Thursday, February 17, 2011

HAWA

hawa tujhe diya koi kaam tha
tere hath bhijwaya paigaam tha
mere ye kaam kiya tune
mera paigaam jakar diya tune
                     khush hue jb hawa ne jawaab diya
                      uss ne jo bheja tha o gulaab diya
                      hawa ne btaya uss ka naam khushi hai
                      chahre pe noor hondho pe hasi hai
                     sir se paon tak pyaar se bari lagti hai
                      zami ki nahi aasma ki pari lagti hai
                                   ruk hawa jara main ye kaam kar lun
                                   dil ho raha bekaboo isse main thaam lun
                                    tune badha di hai had se jada meri bechaini
                                    har haal mai mujhe usse ab mulaqaat hai karni 
                                                 maine kaha hawa  tu usse fir se mil ke aa
                                                 ho sake to usse apni palkon pe bidha ke la..

Tuesday, February 15, 2011

TANHAAI

                                                            TANHAAI 

bheed main rahun ya kisi mahfil main
har jagah tanhaai tu kun rahti hai dil main
teri ye mehrbaani samajh main nahi aati
ye uljhi hui kahaani samajh main nahi aati
bata aakhir tujhe  mujh se milta kya hai
mere dil main sapno ke alava aur palta kya hai
ho sake to tu mujhe ab jine de
hai yaha log bahut jara aazmane de
nahi hua koi apna to tera naam lunga
jb bi kahegi main haath tera thaam lunga
fir tu rahna sath har pal mere
fir tu sajana aaj aur kal mere.....................................!!!!!!!!!!!!!!



gazal

khatre hai har ek mod pe jara sambla karo
mano meri baat ghar se kum nikla karo
badh jayegi kuch uss ki bi khubsurti
aisa karo chand pe nagge paon tahla karo
main to kahta hun rooh tak utar jao
jb bi kisi se payaar tum pahla karo
kuch yun karo to shayad bura na ho
tutne se pahle hi tum aaina badla karo

Monday, February 14, 2011

tera milna

kya hota jo hum milte nahi kabhi
bagon main sayad phool khilte nahi kabhi
kya hota jo hum milte nahi kabhi
aankh rahti num  hondh haste nahi kabhi
kya hota jo hum milte nahi kabhi
hoti paas manzil magar  uss pe chalte nahi kabhi
kya hota jo hum milte nahi kabhi
ban ke hawa yun bahte nahi kabhi
kya hota jo hum milte nahi kabhi
dua main udhate hath magar kuch mangte nahi kabhi
kya hota jo hum milte nahi kabhi
jagte rahte  sari raat sote nahi kabhi
kya hota jo hum milte nahi kabhi
hoti nafrat phool se chand ko bi dekhte nahi kabhi
kya hota jo hum milte nahi kabhi
aankho main sapne fir to palte nahi kabhi
kya hota jo hum milte nahi kabhi...................................SS

ajnabi

mila ek ajnabi mujh ko
hai koi nahi mera fir bhi apna lagta hai
raat ki tanhaai main khubsurat sapna lagta hai
hai pahchaan usse mere soch mere khyaal ki
mere har sur ki mere har taal ki
hai kuch to jaroor baat uss main
mere jaise hi hain jajbaat uss main
hai o door mujh se magar paas lagti hai
mere apno main o kuch khaas lagti hai
main usse ajnabi kahun to kahun kaise
ab main door usse rahun to rahun kaise
chalo ho gai dosti ab nibhaayenge hum
bheed hai bahut magar chalte rahe to mil jayenge hum..................................!!!!!!!!!!!!!!!!!!