About Me

My photo
mujhe chand mila hai main taare nahi dekhta,hai shauk samandar ka main kinaare nahi dekhta.

Friday, February 18, 2011

AAJ KI SUBAH

aaj ki subah kuch khaas hai
lagta hai jaise koi aaspaas hai
jindgi kis kadar aakeli thi
ab jake hua ye ehsaas hai
aaj ki subah kuch khaas hai
 pahli dafa pyaar ke aanchal ko chua
 jaise laga uddte hue badal ko chua
bach gaya main har buri nazar se
mere galo ko jb se tere kajal ne chua
tujh pe hua ye kaisa vishvaas hai
aaj ki subah kuch khaas hai
  abhi tak mujhse tum door kun thi
  darti thi ya kisi baat se majboor thi
  lag jaogi ek din aake gale
  dil ko iss ki ummeed to jaroor thi
  dear se hi sahi khatam ab meri talash hai
   aaj ki subah kuch khaas hai
maaf karna mohabbat hum tujh se anjaan bane
nahi samjhe kuch aur nadaan bane
jis pe bi kar di meharbaani tune
iss duniya main to bus wahi insaan bane
mohabbat tu ek reshami libaas hai
aaj ki subah kuch khaas hai..............


4 comments: