About Me

My photo
mujhe chand mila hai main taare nahi dekhta,hai shauk samandar ka main kinaare nahi dekhta.

Friday, February 18, 2011

KHWAB AUR HAQEEQAT

sochta hun dikhun o duniya jo mere khwabo main hai
        meri duniya bahut haseen hai
        rango se bi zada ye rangeen hai
        khusiyo se bana aasmaan hai
        to phoolo se bani zameen hai
       meri duniya bahut haseen hai                                                                                        
yaha insaan ko insaan se mohabbat hai
pyaar lena pyaar dena hi ibadat hai
ise to duniya kahna hi galat hoga
ye to zamee pe basi hui jannat hai
yaha insaan ko insaan se mohabbat hai
        meri duniya main har taraf khushi hi khushi hai
        sab ke hondho pe khili hanshi hi hanshi hai
        nafarat yaha door door tak nahi hai
        chahat hi chahat dil main basi hai
        meri duniya main har taraf khushi hi khushi hai
subah tak ye sapna meri aankho main palta raha
iss ki goad mai leta main machalta raha
hui subah to har sapna tut gaya
hathon se jaise koi shisha chut gaya
jisne dekha sapna kya o meari nazar thi
akhbaar jo padha to kai logo ke marne ki khabar thi
iss se to achha tha ki meri aankh na khulti
dukh dard se bhari ye jindgi na milti
maut tere saye main bahut sukoon hai
jindgi tere daman main sirf khoon hi khoon hai.................!!!!!!!


2 comments: